Fursat Hai Aaj Bhi – Arjun KanungoBy Bhoolna kya, bhulaana kya?Roothna kya, manaana kya?Dil ko behlaane kaAur bas hai bahaana kya?Zindagi ka thikaana kya?Dil kabhi tha sayaana kya?Rooh mein tu hai mehfoozPhir tera jaana kya?Tujhe khoya nahin, tha kabhi…Tu hai yahin kahin, aaj bhi…Fursat ka jo har lamhaa haiMujhse bas ye kehta haiAadat teri baaton ki, aaj bhiAaj bhi…Teri ankhon ne jo dekhe theyMeri ankhon mein wo sapne hainSarhad nahin khwaabon ki, aaj bhiTu hai aaj bhi…Bin bulaaye ye aana kya?Aa gaye toh hai jaana kya?Teri yaadon se behtar haiDil ka thikaana kya?Tere mere wo pal meetheyKum lagey saath jo beeteyPar tu hai door ye meriAnkhon ne maana kya?Tujhe bhoola nahin tha kabhiTu hai mere kareeb aaj bhiFursat ka jo har lamhaa haiMujhse bas ye kehta haiAadat teri baaton ki, aaj bhiMmmmm… Aaj bhi!Teri ankhon ne jo dekhe theyMeri ankhon mein wo sapne hainSarhad nahin khwaabon ki, aaj bhiTu hai aaj bhi… www.pillowlyrics.com419786497975 88k 20