Hosh – Badshah (feat. Aastha Gill)

Is nakli si duniya mein, zara sa bhi ab mera mann na lage, mann na lage
Pyaar itna kar yaar mere mujhe kam na lage, kam na lage
Gum itna pee chuki hun mujhe koi gum na lage, gum na lage
Mujh mein aake milja tu aise hum hum na lagein, hum na lage

Hoon bheed mein bhi tanha si main, hun main akeli si
Aake mujhe tu suljha de, main ek paheli si

Koi jaadu sa mujh pe chala de, mujhe taaron ki sair kara dey
Rehke hosh me kya hi karoongi, aaja mere hosh udade

Koi jaam tu aisa pila de, mere khoon mein kuch tu milaade
Rehke hosh me kya hi karoongi, aaja mere hosh udade

Mere kaan mein aake, kehti mujhe, ek talab si uthti rehti mujhe
Main besabri si ho gayi hoon, main bey kadri si ho gayi hoo

Meri aankhon mein tu kajal bhar dey, barsoongi mai badal karde
Sunne mein aya hai tu pagal hai, mujh ko bhi tu pagal kar de

Meri aankhon se aasoon gira de, mujhe poori ki poori hila de
Rehke hosh mein kya hi karoongi, aaja mere hosh udade

Koi jaam tu aisa pila de, mere khoon mein kuch tu milaade
Rehke hosh me kya hi karoongi, aaja mere hosh udade

Iss marz ki dawai chahiye, tu raghon mein samai chahiye
Jahaan jo likhoon bas tera naam likhoon, aisi likhnewali siyahi chahiye
Khuda hai toh khudai chahiye, ya is jism sey rihai chahiye
Tu hai toh mai hoon yakeenan, nahi toh mujhe is vajood ki tabahi chahiye
www.pillowlyrics.com
error419786
fb-share-icon497975
Tweet 88k
fb-share-icon20