Pucho ge to batau kya nahi pata Mere desh se mujhko hain pyaar kya Saabit kya karun hain kitna pyaraa Mujhe ye desh, ye desh mera
Kya hai desh ye, desh ke bhesh me Roti kapda makan hai Mausam bahaar hai hariyali ka tyohaar hain Mere wajood ka aadhaar hain
Kyun dikhaun Main kyun jataun Dil ki baat hai Main kyun bataun
O o o o…
Ye desh hain kya mera aaina Main hun jab jaisa, mera desh hain tab waisa Desh hi Maharaaj hain, desh hi gareeb ki aawaz hai Majboor hai to majboo bhi iski bhasha
Andar geheri jad hain Meri is desh main mujhko hain samaana Pucho to main bataun kya tumhe kya pata Mere desh se mujhko hain peyar kya
Kyun dikhaun Main kyun jataun Dil ki baat hain Main kyun bataun